Marsia: Mir Anis


Jab qata ki masafat e shab aaftaab ne

Jalwa kiya sahar ke rukhe behijaab ne

Dekha suwe falaq Shahe gardoon raqaab ne

Mudh kar sada rafeeqo ko di us janaab ne

Aakhir hai raat hamd o sanaye Khuda karo

Utho fareezaye sahri ko ada karo


Haan ghaaziyon ye din hai jidaal o qitaal ka

Yaan khoon bahega aaj Mohammad ki aal ka

Chehra khushi se surkh hai Zahra ke laal ka

Guzri shabe firaaq din aaya visaal ka

Hum wo hain gham karenge malak jin ke waastey

Raatein tadap ke kaati hai is din ke waastey


Ye sunke bistaron se uthe wo Khuda shinaas

Ek ek ne zebe jism kiya fakhira libaas

Shane muhasino mein kiye sab ne be hiraas

Baandhe amame aaye imame zaman ke paas

Rangeen abaayein dosh pe kamre kasey huwe

Muskh o zibaad o itr mein kapde basey huwe


Khaime se nikle Shah ke azizaane khush khisaal

Jin mein kayi thyy Hazrate Khairun nisa ke laal

Qasim sa gul badan Ali Akbar sa khush jamaal

Ek jaa Aqeel o Muslim o Jafar ke nau nihaal

Sab ke rukhon ka noor sipahre bareen pa tha

Athara aaftaabon ka ghuncha zameen pa tha


Nagaah charkh par khate abyaz huwa ayaan

Tashreef jaanemaaz pe laaye Shahe zamaan

Sajjade bich gaye aqabe Shahe ins o jaan

Saute Hasan se Akbar e Mahrooh ne di azaan

Har ek ki chashm aansuon se dab daba gayi

Goya sada Rasool ki kaano mein aagayi


Namoose Shaah rotey thay khaime mein zaar zaar

Chupke khadi thi sahn mein bano e naamdaar

Zainab balayein leke ye kahti thi baar baar

Sadqe namazion ke muazzin ke main nisaar

Karte hain yun sana o sifat Zul Jalaal ki

Logon azaan suno meri yousuf jamaal ki


Ye husn e saut aur ye qirat ye shad o madd

Haqqa ke afsahul fusuha thay inhi ke jadd

Goya hai lahn e Hazrat e Dawoode ba khirad

Ya Rab rakh is sada ko zamane mein taa abad

Shu’be sada mein pankhdiyan jaise phool mein

Bul bul chahak raha hai riyaaz e Rasool mein


Saf mein huwa jo naraye qad qaamatis salaat

Qaim huwi namaaz uthey Shahe qainaat

Wo noor ki safein wo musalli falak sifaat

Sardaar ke qadam ke taley thi rahe nijaat

Jalwa tha ta ba arshe mu’alla Hussain ka

Mus haf ki lauh thi ke musalla Hussain ka


Quran khula hua ke jama’at ki thi namaaz

Bismillah aagey jaise ho yun thay Shahe hijaaz

Satrein thi ya safein aqab e Shahe sarfaraaz

Karti thi khud namaaz bhi inki adaa pe naaz

Sadqe sahar bayaaz pe bainas sutoor ki

Sab aayatein thi mus hafe naatikh ki noor ki


Dunya se uth gaya wo qayaam aur wo qaood

Inke liye thi bandagi wajibul wujood

Wo ajz wo taweel ruku aur wo sujood

Ta’at mein neest jaantey thay apni hast o bood

Taqat na chalne phirne ki thi haath paon mein

Gir gir ke sajde karte thay taghoon ki chaon mein


Farigh huwe namaaz se jab qibla o anaam

Aaye musafahe ko jawaanan e tashnakaam

Chume kise ne dast e Shahinshaah e khaas o aam

Aakhein miley kisi ne qadam par ba ehteraam

Kya dil they kya sipaah e rasheed o sayeed thi

Ba ham mu’anaqe they ke marne ki eid thi

Zaari thi ilteja thi munajaat thi


idhar Waan sar kashi o zulm o ta’addi o shor o shar

Kahta tha ibne saad ye jaa jaa ke nahr par

Ghatoon se hoshiyaar tarayi se ba khabar

Do roz se hai tashna dahani Hussain ko

Haan martey dam bhi deejiyo na pani Hussain ko


Baithey thay jaanemaaz pe Shahe falak sareer

Nagaah qareeb aake girey teen chaar teer

Dekha har ek ne mudhke suwe lashkar e kaseer

Abbas uthey tol ke shamsheer be nazeer

Parwane they siraaj e imamat ke noor par

Rokey sipar huzoor karamat zahoor par


Akbar se mudhke kahne lage Sarware zamaan

Baandhe hai sarkashi pa kamar lashkare giraan

Tum jaake kahdo khaime mein ye ay pidar ki jaan

Bachon ko leke sahn se hat jaaye bibiyaan

Ghaflat mein teer se koi bacha talaf na ho

Dar hai mujhe ke gardane Asghar hadaf na ho


Kahte they ye pisar se Shahe aasmaan sareer

Fizza pukari deodhi se ay khalq ke ameer

Hai hai Ali ki betiyaan kis jaa ho goshgeer

Asghar ke gahware tak aakar girey hain teer

Garmi se saari raat ye ghut ghut ke roye hain

Bachey abhi tou sard hawa paake soye hain


Baqir kahin pada hai Sakina kahin hai ghash

Garmi ki fasl ye tab o taab aur ye atash

Ro ro ke sogaye hain sagheerane maahwash

Bachon ko leke yaan se kahan jaaye faqa kash

Ye kis khata pe teer piya pe barastey hain

Thandi hawa ke waastey bachhey taraste hain


Uthey ye shor sunke Imame falaq viqaar

Deodhi tak aaye dhalon ko roke rafiq o yaar

Farmaya mudhke chaltey hain ab bahre kaarzaar

Kamre kasoo jihaad pe mangwao raahwaar

Dekhein fizaa behisht ki dil baagh baagh ho

Ummat ke kaam se kahin jaldi firaagh ho


Khaime mein jaake Shay ne ye dekha haram ka haal

Chahre tou faqq hai aur…

Zainab ki ye dua thi ke ay Rabbe Zuljalaal

Bach jaaye is fasaad se khairun nisa ka laal

Bano e naik naam ki kheti hari rahey

Sandal se maang bachon se godhi bhari rahey


Boley qareeb jaake Shahe aasmaan janaab

Muztar na ho dua’en hain tum sab ki mustajaab

Maghroor hain khata pe ye sab khanuma kharaab

Khud jaake mein dikhata hoon inko rahe sawaab

Mauqa nahi bahan abhi faryaad o aah ka

Laao tabarrukaat Risaalat panaah ka


Meraaj mei Rasool ne pahna tha jo libaas

Kashti mein laayi Zainab usey Shahe deen ke paas

Sar par rakha amamae Sardare haq shinaas

Pahni qaba e paak Rasoole falaq asaas

Bar mei durust o chust tha jama Rasool ka

Rumaal Fatima ka amama Rasool ka


Kapdoon se aa rahi thi Rasoole zaman ki bu

Dulha ne sunghi hogi na aisi dulhan ki bu

Hyder ki Fatima ki Hussain o Hasan ki bu

Phaili hui thi chaar taraf Panjetan ki bu

Lut ta tha itr waadi ambar sarisht mein

Gul jhumtey thay baagh mein Rizwaan behisht mein


Poshaak sab pahan chukey jis dam Shahe zaman

Lekar balaein bhai ki ronay lagi bahan

Kehti thi hai aaj nahi Hyder o Hasan

Amma kahan se laye tumhe ab ye be watan

Rukhsat hai ab Rasool ke yusuf jamaal ki

Sadqe gayi balein lo apne laal ki


Hathyaar idhar laga chuke Moula e khaas o aam

Tayyar udhar huwa alam e Sayyide anaam

Duaein maangti gird thi saidanian tamaam

Roti thi thaame chobe alam khwahare imaam

Teghein kamar mei dosh pe shamley padey huwe

Zainab ke laal zere alam aa khade huwe


Gah maa ko dekhte thay kabhi jaanibe alam

Na’ra kabhi ye tha ke nisaar e Shahe umam

Karte thay dono bhai kabhi mashware baham

Aahista poochtey kabhi ma se wo zee hasham

Kya qasd hai Ali e wali ke nishaan ka

Amma kise milega alam nana jaan ka


In nanhe nanhe haathon se uthega ye alam

Chotey qadoon mein sabse sinoo mein sabho se kam

Nikle tanoo se sibte Nabi ke qadam pe dam

Ohda yahi hai bas yahi mansab yahi hasham

Rukhsat talab agar ho to ye mera kaam hai

Maa sadqe jaaye aaj tou marne mein naam hai


Phir tum ko kya buzurg they jo fakhre roz gaar

Zeba nahi hai wasf e izafi pe iftekhaar

Johar wo hai jo taegh karey aap aashkaar

Dikhlado aaj Hyder o Jafar ki kaarzaar

Tum kyon kaho ke laal Khuda ke wali ke hain

Faujein pukare khud ke nawase Ali ke hain


Ab jisko tum kaho usey dein fouj ka alam

Ki arz jo salaah Shahe aasmaan hasham

Farmaya jabse uth gayi Zahra e ba karam

Us din se tumko maa ki jagah jaantey hain hum

Malik ho tum buzurg koi ho ke khurd ho

Jisko kaho usi ko ye ohda sipard ho


Boli bahan ke aap bhi tou lein kisi ka naam

Hai kis taraf tawajjo e Sardar o khaas o aam

Gar mujhse poochtay hain Shahe aasmaan

maqaam Quran ke baad hai tou Ali hi ka kuch kalaam

Shaukat mein qad mein shaan mein humsar nahi koi

Abbas e naamdaar se behtar nahi koi


Aashiq ghulaam khadim e dereena jaan nisaar

Farzand bhai zeenate pehlu wafa shi’aar

Jarrar yaadgaar e pidar fakhre rozgaar

Rahat rasaa mutee o namudaar o naamdaar

Safdar hai sher dil hai bahadur hai naik hai

Bemisl saekdon mein hazaroon mein aik hai


Aakhon mein ashk bhar ke ye boley Shahe zaman

Haan thi yahi Ali ki wasiat bhi ay bahan

Acha bulayein aap kidhar hai wo saff shikan

Akbar chacha ke paas gaye sunke ye sukhan

Ki arz intezaar hai Shahe ghayoor ko

phuphi ne yaad kiya hai huzoor ko


Abbas aaye haathon ko jodhe huzoor e Shaah

Jao bahan ke paas ye bola wo deen panaah

Zainab wahin alam liye aayi ba izzo jaah

Boley nishaan ko leke Shahe arsh baargaah

Inki khushi wo hai jo riza Panjetan ki hai

Lo bhai lo alam ye inayat bahan ki hai


Munh karke soo e qabre Ali phir kiya khitaab

Zarre ko aaj kardiya Moula ne aaftaab

Ye arz khaaksaar ki hai Ya Abu Turaab

Aaqa ke aagey hoon mein shadath se bahre yaab

Sar tan se ibne Fatima ke ru baru girey

Shabbir ke paseene pe mera lahu girey


Ye sunke aai zauja e Abbas e naamwar

Shohar ki simt pehle kinkhiyoon se ki nazar

Lee sibte Mustafa ki balayein ba chashme tar

Zainab ke gird phirke ye boli wo nauhagar

Faiz aap ka hai aur tasadduq Imaam ka

Izzat badi kaneez ki rutba ghulaam ka


Sar ko laga ke chathi se Zainab ne ye kaha

Tu apni maang kookh se thandi rakhe sada

Ki arz mujhse laakh kaneezein hon to fida

Bano e naamwar ko suhaagan rakhe Khuda

Bachhe jiye taraqqiy e iqbal o jaah ho

Saaye mein aap ke Ali Akbar ka byaah ho


Naagaah aakey bali Sakina ne ye kaha

Kaisa hai ye hujoom kidhar hai mere chacha

Ohda alam ka unko mubarak karey Khuda

Logon mujhe balaein to lene do ek zara

Shaukat Khuda badhaye mere ammu jaan ki

Mein bhi tou dekhoon shaan Ali ke nishaan ki


Abbas muskura ke pukarey ka aao aao

Ammu nisaar pyaas se kya haal hai batao

Boli lipat ke wo ke meri mashq lete jaao

Ab tou alam mila tumhein pani mujhe pilaao

Tohfa na koi deejiye na in’aam deejiye

Qurbaan jaaon pani ka ek jaam deejiye


Nagaah badhey alam liye Abbas e ba wafa

Daude sab ahle bait khule sar barehna pa

Hazrat ne haath utha ke ye ek eik se kaha

Lo Alwida ay haram e paak e Mustafa

Subhe shab e firaaq hai pyaaron ko dekh lo

Sab mil ki doobte huwe taaron ko dekh lo


Shah ke qadam pe Zainab e zaar o hazeen giri

Bano pachaad kha ke pisar ke kareen giri

Kulsoom thar thara ke baruhe zameen giri

Baqir kahin gira tou Sakina kaheen giri

Ujda chaman har ek gul taza nikal gaya

Nikla alam ke ghar se janaza nikal gaya


Nagaah udhar se teer chale janibe Imaam

Ghoda bada ke aap ne hujjat bhi ki tamaam

Nikle idhar se Shay ke rafiqaan e tashnakaam

Be sar huwe paroon mein saraan e sipaah e shaam

Bhala kabhi thi taegh kabhi zer e tang thi

Ek ek ki jang maalik e ashtar ki jang thi


Allah re Ali ke nawasoon ki kaarzaar

Dono ke nichey thay ke chalti thi zulfiqaar

Shana kata kisi ne jo roka sipar pe waar

Ginti thi zakhmiyoon ki na kishtoon ka tha shumaar

Utney sawaar qatl kiye thodi daer mein

Dono ke ghodey chup gaye laasho ke dhaer mein


Kis husn se Hasan ka jawane haseen lada

Ghir ghir ke surate asad e khushmgeen

din ki bhook pyaas mein wo mahjabeen lada

Sahra ulat ke yoon koi dulha nahi lada

Hamle dikha diye asad e kirdgaar ke

Maqtal mein sooye arzak e shaami ko maar ke


Chamki jo tegh Hazrate Abbas e arsh jaah

Roohul ameen pukarey ke Allah ki panaah

Dhaalon mein chup gaya pisar e saad ru siyaah

Kushtoon se band ho gayi aman o amaan ki raah

Jhapta jo sher shoakh mein darya ki saer ke

Le li tarayi taeghon ki moujoon ko phaer ke


Be sar huwe muwakkil e sar chashma e furaat

Hal chal mein misl e mouj safon ko na tha sabaat

Darya mein girke fout huwe kitne bad sifaat

Goya habaab hogaye thay nuqta e hayaat

Abbas bhar ke mashk ko yoon tashnalab laday

Jis tarah naharwaan mein ameer e arab laday


Aafat thi harb o zarb e Ali Akbar e diler

Ghusse mein jhapte ser pe jaise garsina sher

Sab sar buland past zabardast sab thay zer

Jangal mein chaar simpt huwe zakhmiyoon ke dher

Siraan ke utre tan se jo thay rann chadhey huwe

Abbas se bhi jang mein kuch thay badhey huwe


Talwarein barsi subh se nusfun nihaar tak

Hilti rahi zameen laraztey rahey falak

Kaampa kiye paroon ko simte huwe malak

Na’rey na phir wo thay na wo taeghon ki thi chamak

Dhaalon ka daur barchiyoon ka auj ho gaya

Hangaam e zuhr khatema e fauj ho gaya


Lashe sabho ke sibte Nabi khud uthake laye

Qatil kisi shaheed ka sar kaatne na paye

Dushman ko bhi na dost ki furqat Khuda dikhaye

Farmatey thay bichad gaye sab hum se hai

pahaad gir padey jis par wo kham na ho

Gar sou baras jiyoon tou ye majma baham na ho


Kham ho gaye ye daagh uthake Imame deen

kar bana hilaal e Nabi ka mahe jabeen

Yoon dard mein tadap ke kiya nalaye hazeen

Hilne lage pahaad larazne lagi zameen

Aayi jigar ko taab na is waaredaat ki

Khushki mein lagi doobne kashti hayaat ki


Jab saff kashi ki dhoom huwi qatl gaah mein

Tasweer e marg phir gayi sab ki nigaah mein

Doobe rafiq e yusuf e deen haq ki chaah mein

Daftar khula ajal ka Hussaini sipaah mein

Jaanbaaziyaan dikhake jari naam kar gaye

Khaake shifa pa noor ke daane bikhar gaye

No comments: