A tribute to Imam Hussain(a.s) by Hindu Poets: part 1


Toofan barpa hai garm haii maiidan-e-Karzaar
haii qatil.o me mahve fugha.n ek shahsawar
ibleesiyat iidhar haii, udhar insaan ka waqar
tanha Hussain or yaziidi kaii hazaar
aii gardish-e-zamaana thahar zaraa yahi.n
aiisi misal phir na milegi tujhe kahiin

:- Prof. Jagannath Azad


Karbala me ek bahana tha Hussain ibn Ali
lene waale ne liya thaa imtahan-e-Mustafa

:- Ram Bihari Lal 'Saba"



Baad marne ke bhii matam kii sada aati rahii
log hairat se meri chitaa ko dekha kiye

:- Chandra Shekhar Saxena.


Khuld uskii haii, khayba.n uska, Kausar us ka haii
Jis ko ulfat haii Vilayat aal-e-Payamber ke saath

:- Gauhar Prasad Nigam "Vilayat" Gorakhpuri.


Nazar aa jatii haii bazm-e-azaa se rah jannat kii
Shaheed-e-Karbala ke gham me jab rokar nikalte hai.n

:-Munshi Lakhman Narayan "Sakha"


Ab na samjhna mujhe sab ne wali likkha haii
mere maathe par Hussain Ibn Ali likkha haii

:- Mahendra kumar "Ashq"


posted by :- zaigham murtaza

No comments: