Qur'an aur Hussein : Allama Maujiz Sambhali


Quran aur Hussain dil o Jaa.n hai.n dosto
Dono.n atae khaliq e Yazda.n hai.n dosto
Dono hi deen e haq ke nigahba.n hai.n dosto
Dono hi ye muhafiz eima.n hai.n dosto

Quran aaya deen batane ke wastey
Aaya Hussein deen bachane ke wastey

Quran ne bati Musalma.n kii zindagi
Shabbeer ne bachai Musalma.n kii zindagi
Quran ne padhai Musalma.n ki zindagi
Shabbier ne sikhai Musalma.n kii zindagi

Israr lafz lafz zaba.n kholte mile
Quran aur Hussein jaha.n bolye mile

Quran kya haii Aal e Payaber se poochhye
Nazil jaha.n hua haii ye is ghar se poochhye
Ya iilm ke bane hue ek dar se poochhye
Manzil kitab e paak ki Haider se poochhye

Aijaz jis ne iilm ka apne dikhaa diya
Wo jis ne be ke nuqte ko Quran bana diya

Quran me kya haii iska namoona Hussein hai
Baaikiyo.n ka is ki shanasaa Hussein hai
Quran hai imtehan natija Hussein hai
Quran to khamosh hai goya Hussein hai

Qamber ki baat baat pe lab kholne laga
Fizza ki bhi zuban me ye bolne laga

Paigham bar Hussein ye haq ka payam hai
Ye hai.n Imam e iilm wo ilmul kalam hai
Ye dee.n ke badshah wo dee.n ka salam hai
Ye faiz na tamam wo faiz e tamam hai

Shahid wo is ke or wo in ka gawah hai
Dono ka naam ajr e Risalat panah hai

Quran ki ayato.n ki nishani Hussein hai
Tasweer me Ali ki jawani Hussein hai
Taqreer me Rasool ka saani Hussein hai
Quran hai husn, husn bayani Hussein hai

Quran ke haraf haraf se agaah hai Hussein
Quran ki mamlukat ka shahanshah hai Hussein

Qran ki ki jo baat wo hi inki hu bahu
Lafzo.n me koi farq na fiqro.n me do ba do
Aaina jaise ek hai dono ke rubaroo
Hai guftagu Hussein ki Qura.n ki guftagu

Aal e nabi ke tarz e takleem ki shaan hai
Quran to Hussein ke ghar ki zaban hai

Quran tujhe kahan na uthaya Hussein ne
Kab tera martaba na badhaya Hussein ne
Tujh ko hazar baar sunaya Hussein ne
Neze pe bhi tujhe na bhulaya Hussein ne

Ye aur oj bakhsha Fatema ke noor e ain ne
Nezo.n buland kar dia tujh ko Hussein ne

Har dam that era kaun nighehba.n na bhoolna
Kis ne kiya tha dard ka darma na bhoolna
Quran apni zeest ka sam.n ne bhoolna
Quran ye Hussein ka ahsa.n na bhoolna

Tere waraq liye raha apni panah me
Apne waraq bikher diye qatl gah me

Apne charagh deke bachaye tere charagh
Baatil kii andhiyo.n me jalaye tere charagh
Tasham rasto.n me sajaye tere charagh
Himmat hai ab kisi me bujhaye tere charagh

Zulmat na gher payegi ba koii naam ko
Raushan kuch itna kar diya hai shahar e Shaam ko

Akbar kiya nisar teri zeest ke liye
Asghar kiya nisar teri zeest ke liye
Sab ghar kiya nisar teri zeest ke liye
Phir sir kiya nisar teri zeest ke liye

Ahsan tujh pe ta had ahsan kar diya
Jo kuchh the tere naam pe qurban kar diya

Quran kah raha hai inhe manta hu.n mai.n
Al e Rasool e paak ko pahchanta hu.n mai.n
Jo martaba Hussein ka hai janta hu.n mai.n
Jo mujh pe fauq hai ise gardanta hu.n mai.n

Jo fauq hai aya.n hai wo sab ahl e hosh par
Mai rahal par Hussein Muhammad ke dosh par

Quran o Ahl e baiit me kuchh faasla nahi
Ye aur baat in me se ek bolta nahi
Quran o ahl e baiit se gar wasta nahi
Dozaq baghair or koi rasta nahi

Dono se jis ko ishq hai wo kamyab hai
Ghar bughz ek se bhi hai khana kharab hai

Quran o Ahl e baiit se ulfat Rasool ne
Islam ko ye di thii amanat Rasool ne
Kuchh maal o zar na daulat o hashmat Rasool ne
Manga na aur ajr e Risalat Rasool ne

Dono se rasm o rah ko rakhna zaroor hai
Jo ek se bhi phir gaya dono se door hai

Dar dar pe apne sir ko kabhi phodna nahi
Rishta kisi se aur kahi.n jodna nahi
Jo ahad kar liya hai ise todna nahi
Quran or Hussein ko tun chhodna nahi

Dono se mil ke rehna hi rah e nijat hai
Maujiz adaye ajr e Risalat ki baat hai


posted by: zaigham murtaza

No comments: