Salaam : Dr. Naseem Uz Zafar Baquari


Siwa e gham koii mausam sadabahar nahii


Siwa e gham koii mausam sadabahar nahii
Gham na ho to khushii ka bhi aitbar nahii
Haii karbala mei.n ajab maut or hayat kii jung
maut dhoo.dti hai or nahe faraar nahii
Ali ki nasl kahaa।n jo naa maut se kheley
Wo chraagh kya jisey andhii ka intezaar nahii
sitam ke haath mei.n rashaa abhii se haii Asghar
abhii to sirf tabassum hai zulfeqar nahii
Ali ka waar to kya roktey par e Jibraeel
Magar adl se jo guzrey wo Ali war nahii
Ye kah ke palat aaya wo doobta sooraj
Khuda kaa haath hai bandey ka akhtiyaar nahii

Hussein fataah ka meyaar hii badal daala
Jung haar gaye phir bhii haii ye haar nahii

naaz-o-naaz Khuda se wahii wahii wahii sajde
Hussain too to hai khanjer bhii be-waqaar nahii
Sab ansuo.N kii sabiilei.n unhii kii pyaas ke naam
Kisii furaat ka pyaso.n ko intezaar nahii

Kab Ahl e Baiit kii midhat kaa ajr mangtaa hu.n
Naseem merii ibaadat hai kaaro baar nahii
posted by: Zaigham Murtaza

No comments: